Sunday, February 4, 2007
Dooriyon Ki Dastaan....
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka; usko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka.
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera; ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka.
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood; aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka.
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain; jin ko kisi bhi lamha bhulaya na jaa saka.
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho; hum se to haal-e-dil bhi sunaya na jaa saka.
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar; chehre ka rang bhi us se chupaya na jaa saka.
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar; faasla Dilo ka humse mitaya na jaa saka...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment